BABA GANGA RAM SWAMI JI - AN ERA MAN

 EK SAINT PURUSH - BABA GANGA RAM SWAMI JI                                       

Is pawan bhumi pr anek sant mhatama ne Janm lekar smay smay pr hum agyani manusyoo ko satya ka marg dikhaya hai. aise hi ek sant purush shri ganga ram swami ji thee.

Is blog pr aaj baba ganga ram ki is pavitraa katha ko prem se pdhe, sune, sunaaaye or apne jeewan ko dhnyaaa bnaayee.

hum aaj tumhe santo me siromanii ek sant purush Baba ganga ram ki paawan katha sunaate hai. Baba ganga ram swami ek divya sant purush thee jo khud gyaan ka deepak jlaakar sabko Schhai ki raaah dikhatee hai. ye hi reason hai ki Baba ganga ram swami ji k bhakat aaj bhi baba ganga ram swaami ka dhyaan, pooja kartee hai or baba ko mn se maaante bhi hai. 

Local citizenship k anusaar ye dhartii bhi baba ganga ram swami ko paakar dhnyaa huii hai, jinke prtaap se peeed fal dete hai. baba khud ki ichaaa ko tyagkar jagat ki nayaaaa paar lgaate hai. Babba ganga ram ek aisi punyaa aatmaa thee,  jo humesaa iswar ki bhakti me leen rhtee thee.

Swami Ganga Ram ji apni baal awastha me hi sadhu smaaj me aa gyee theee. baba ganga ram swaami ji apne guru shri lakshman daas ji k saath Ayodhya nagri me gyaan ki praapti kr rhee thee.  ek din swaami ji apne guru ji k saath dhyaaan me leen thee, dhyaan me baithe baithee hi baba ganga ram ne apne guru shri lakshman daas ji ko btaayaa ki gaay ne ek bhacdee ko janam diya hai or ek bhediyaaa gaaay or bchdee kko staaa rhaaa haii.guru lakshman daas ji ne jb jaaakr dekhaa to ye satyaa vachaan paya, ganga raam ne sb baate sch btaaayi thiii. Guru lakshman daas ji ko apne sishyaa ganga ram ki safal saadhnaa ko dekhkr bahut khushi  huii. gurau lakshman daas ne baba ganga ram ko aashirwaad diyaa or khaa ki ab tumko dhyaan lgaanaa aa gya hai or  gyaan ki praptii bhi ho gyii hai. tum gyaan ki jot jlaaakr is andhkaar rupi  sansaar me gyaan kaa deepak jlaao, ye sansaar ab tumhaaari partikshaaa kr rhaa hai. ek roj tumhaare naam ko ye saara sansaar gaaayegaa. baba ganga ram apne guru lakshman das ji  ka aadesh paakr apne guru k charnoo me apnaa sir jhukaaate hai or apne guru ke charan sparsh krke, jagat kalyaan krne k liyee ram naam gaate huee aashram se chl padte hai.

Ek din baba ghumte firtee patla gaao me aaa gyeee the, us time baba ka sanyaaasi vesh or age kewal 12 yrs thii. ek peepal k paid k niche baba ne baba ne deraa jmaa liyaa thaaaa. Baal roop , sanyaasi vesh, and 12 saal age or budho jaisa phnaavee me dekh kr bche baba ganga ram pr hasne lgee ki ye humaare gaaao me kaisaa saadhu aa gyaa hai. Bachoo ki chapltaaa pr baba mn hi mn muskuraaa rhee thee. Kuch time baad jb uphaaas kuch jyada huaa tb baba ne apnii divyaa shaktii ka ehsaas krwayaayaa, or baba ke uphaas krne k kaaran gaaao k sabhi pashuo k staano me dhudh ki jaghaa khoon utaaar aayaaa thaa. pasuoo k estnoo me dudh ki jghaa khoon dekhkr gaao ki jantaa pareshaan ho gye or smajh gye ki ye baba ganga ram ki uphaas krne kaa natizaaa hai isliye, sb gaaoo waale baba ganga ram ki saran me aakar apni or bachoo ki galtii ko maantee huee mafii mangteee hai. Kuch timee baad baba ne sabki vinay sunkar apnii karunaaa brsaaayi or gaaao ke sabhi pashuoo ko phlee ki trhaaa hi theek kr diyaaa. Baba ke aaasirwaad se gaao ki vipdaa tal gyii aisa dekhkr gaaoo ki jantaa bahut khushh huii or sbhi gaao waalo ne milkar baba ganga ram se anurodh kiyaa ki baba aap sdaa patlaa gaaao me hi rhoo taaaki hum sbhi gaaao waale aapke charno ki seva me apna jeewan bitaa sakeee. 



Jb kuch din ho gyee tb gaao waaalo ne peppal k bdeee pedh ko ktwaakr uski lakdiyoo se baba k liyee kutiaa bnwaaayi or saath me 2 new paidh bhii lgwaaaye. mazdoor baba ki kutiyaa bnaate theee or baba gangaa ram saam ko sabhi mazdoor ko kaaam k bdlee sabhi ka mulyaa chukaaate thee. bdeee pippal k paidh ki ek sundar lakdii ek mazdoor ko achhii lgiii, wo mazdoor apne ek saathi k saath raat ko us sundar lakdii ko churaanee k liyeee aayaa. Baba ganga ram ne apne gyan chakshu se sb baato ko jaaan liyaa thaaa or un mazduuro k mn me hone waale paap ko bhi phchan liyaa thaa. Jb mazdoor lakdii uthaane lge to baba ganga ram ki kirpyaaa se lakdii kaa bhaar itnaa jyada bdh gyaa, ki wo dono mazdoorr us lakdi ko nhi uthaaa paaye, baad me masooom hokar, thk haar kr apnaa muhh ltkakar apnee ghr ko waapas chlee gyee. aglee din saam k time baba ganga ram ne un dono mazdooro ko doubal mazdoori di, ye sb dekhkr baaaki sb mazdoor hairaan huee or baba ganga ram se pucha ki baba hum sb ne brabar kaaam kiya tb aap ne in dono double mazdoori kyou di? Baba ne btaya ki kl raat inhone yhaaa aakar overtime kiyaa thaa humne bhi in dono ko us kaam krne kaa uphaaar diyaaa. Itnaa sunte hi wo dono mazdoor baba k charno me gir gye or bolee baba hum agyaani or aap gyan waan karunaa k sagar ho, hey jagat kalyaan hum bhakto ki nadaani ko maaaf kr do, hmko chmaaa kr do. baba ganga ram ne un dono mazdooro ko maaf krtee huee un dono ko ko jeewan me satya ki raahhh pr chlnee ka gyan dete hai.

Baba ganga ram swami k baaaree me ek baat or share krtee hueee baba ki divyaa shaktii k darshan krwaate hai. Ye baat british sashaan ke time hai, jab gaao ki jaanta saalo se lgaan nhi de paaayee theee. Angreeji foj gaaao me lgaaan ki jghaaa logo ka dhan  maaal hdpnee k liye gaao me aagyi. baba ganga ram swamii sbhi gaao waalo ki dhaaal bn gye or angreezi afsaar se puchhaa ki btaaao patla gaao pr kitnaaa karzaa hai? baba ganga ram ne gaao ki hi bhomi se swarn asarfiyaa dekar gaao ka karzaa chukaa diyaa or gaao ka 2 saal aage ka lgaan bhi advaance me de diyaaa. Aisa dekhkar sabhi gaao waalee khushi mnaate hai or baba ki mahimaa ka gungaan gaate hai.


Ek baar gaaao k logo ne bahut bdaa bhndaaraa kiyaa or us bhndaare me gheee ki kmiii pd gyiii, sabhi gaao waale gbhraakar chintaa krtee hue baba k paaas aaayee or haath jodkar 
baba ganga ram se bole ki hey guruwar ab bhndaare me bhaktoo k liyee pkwaan kaisi bnegaaa? Baba ne aadesh diyaa ki tum is pokhar ka paanii le jaao, ye gheee ka kaam karegaa tum pareshaan mt honaa. Kdhaayi me daaalte hii chmtkaaar ho gyaa, wo pokhaar kaa paaani ghee bn gyaa. Baba ganga ram swami ki ye allokik shakti or chamtkaar ko dekhkar sabhi bhakatjan khusi se jhoom uthe. sbhii gaao waale baba ko dhnwaad krte huee baba k charnoo me sish jhukaaate hai.


Baba ganga ram ne 125 saal ki age me gaao k isii pokhaar me jal smaadhii le thii. Jb gaaao k logo ne baba se smaadhi na lene k liyee anurodh kiyaa tb baba ne gaaao waalo ko dhram kaa paath pdhakar aashirwaad diyaa, jb tk mere bhaktoo ki aaasthaa mujh pr bnii rheegiii tb tk mere bhakto ko koi  maya nhii chll payeegi, naa hi koi thagg paaayegaa. Baba gangaa ram ne ek path pardarshak bnkar humesha apne bhaktoo ka marg darshaan kiyaa thaa or aaj bhi krtee hai. sabhi gaao waalo ke man me baba ko lekar ye viswaas hai ki jb tk is sansaar me suraj or chandrmaa viraajmaan hai tb tk baba gangaa ram swami ka naam har ghr me ghunjeegaa. 

Baba ganga ram apne sabhi bhakto pr sdaa karunaa brsaate hai, or hum sabhi divyaa purush baba gangaa ram swamii ji ko mn se naman krtee hai.

Bolo Baba ganga ram swaami ji jaiiii...............



Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

How can we save breaking relations in indian culture?

MANA - Unknowing Facts, You must know.

Lansedowne Visiting Places - A heart touching Hill Station